Sunday 27 May 2012

Ek Soch


"SOCH" kya aap sochne mei shi mei saksham hain? kya aapki soch shi mei itni viksit hai k aap accha ya bura sochne k kabil hain? apne baare mei to bilkul honge lekin desh k baare mei......??
Ye ek bht bada sawal hai lekin iske baare mei soch k aapko kya milega subah ki chay ki chuski k sath ek aur disscussion ka mudda, ek aur nayi khabar desh k khokhla hone ki aur phir kya hai chay khatam baat khatam... 
Aazadi k 65 saal baad bhi hum aazad khlane layak nhi hain, aaj bhi hum garib hain, aaj bhi humare yahan berozgaari hai, bhrastachar hai lekin hume kuch dikhayi nhi deta ya phir use undekha krne ki adat se pad gyi hai. Dosto apni aankhe band kr lene se sach chupta nhi hai sirf ek bhram hota hai. Ab jarurat aa gyi hai k hum is soch ki seema ko apne se upar nikale aur desh k baare mei kuch soche.Jo dande aam janta par baraste hain wo ab bhrast netao, sarkari officers aur har us bhrast insan par barsane ka waqt aa gya hai jo is desh ko khokhla bana rhe hain. 
Aksar hum sochte hain k han ye krna chahiye lekin phir ye soch k rah jaate hain k shuruwat kahan se karu aur mei he kyu lekin mere dosto shuruwat ek insan se he hoti hai aur ye to garv ki baat hogi k wo phle insan aap ho to. Waqt ki kami k karan hum logo ko Rishwat dete hain lekin kya shi mei waqt itna kam hai ya humne aadat he unki kuch aisi daal di hai k wo bina khaye mante nhi hain. Hum khilate hain isliye wo khate hain aadat jo humne kharab kari hai ab wo sudhare ka samay aa gya hai. Agar ek 80 saal ka bujurg ye krne ki soch sakta hai to kya hun aur aap nhi. Hum saache desh waasiyo ko marte dekh k ab aur nhi royenge balki kadam uthayenge aur unke sapne ko sach krne ki kasam lenge aur use pura karenge. 
Shuruwat choti choti cheezo se krni hogi aaiye kasam khaate hain ki na kisi par zulm karenge na he krne denge, na baacho se kaam karayenge, na he ghoos denge, na he bujurg aur besharao ko beech bazar chodenge, na he aurto par zulm karenge aur jo ye sab karega usse bhi muh tod jabab denge. Agar is desh ki saari janta ye kasm kha le to kya ye kranti nhi aa sakti...Yahan na to kabiliyat ki kami hai aur na he bal ki bas zarorrat hai use shi dish dene ki.kisi ne sahi kaha hai...
ho gayi hai peer parvat si pighalni chahiye 
is himalya se nayi ganga nikalni chahiye
aaj ye diware bhi pardo ki tarah hilne lagi
shart ye thi ki ye neev hilni chahiye
sirf hungame khada krna mera maksad nhi
mera maksad hai k ye surat badalni chahiye
mere sine mei nhi tere sine mei sahi
ho kahi bhi aag lekin aag lagni chahiye...